Zindagi se churaake
Zindagi mein basaake
Zindagani banaya hai tujhe
Roothe rab ko manaake
Aasmaan ko jhukaake
Zindagani banaya hai tujhe
Tu mila jiss tarah sabah miley
Tu mila jiss tarah silah miley
Tu mila jiss tarah dua miley bakhudaa
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukhamal main ho gaya
Tu mila toh faila hai noor sa bakhudaa
Zindagi se churaake
Zindagi mein basaake
Zindagani banaya hai tujhe
Mehfoos tu mehsoos kar
Tere paas hoon main sada
Tujhse nahi ho sakta main
Pal bhar bhi ab judaa
Ab saath hain hum iss tarah
Aankhon ke sang palkein
Aa waqt ko yeh baat hum
Ik baar phir se kehdein
Saare gum se chupaake
Har nazar se bachaake
Zindagani banaya hai tujhe
Tu mila jiss tarah sabah miley
Tu mila jiss tarah silah miley
Tu mila jiss tarah dua miley bakhudaa
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukhamal main ho gaya
Tu mila toh faila hai noor sa bakhudaa
Baahon mein aa
Ho jayengey
Shikvey sabhi khud fanaa
Hothon se main tujhko suno
Aankhon se tu kuch suna
Tu aks hain, main aayina
Phir kya hai sochna
Ek doosre mein khokey hai
Ek doosre ko paana
Kismaton ko jagaake
Har jahaan ko haraake
Zindagani banaya hai tujhe
Tu mila jiss tarah sabah miley
Tu mila jiss tarah silah miley
Tu mila jiss tarah dua miley bakhudaa
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukhamal main ho gaya
Tu mila toh faila hai noor sa bakhudaa.
No comments:
Post a Comment