इस से पहले कि सजा मुझ को मुक़र्रर हो जाये
उन हंसी जुर्मों कि जो सिर्फ मेरे ख्वाब में हैं ,
इस से पहले कि मुझे रोक ले ये सुर्ख सुबह
जिस कि शामों के अँधेरे मेरे आदाब में हैं ,
अपनी यादों से कहो छोड़ दें तनहा मुझ को
मैं परीशाँ भी हूँ और खुद में गुनाहगार भी हूँ
इतना एहसान तो जायज़ है मेरी जाँ मुझ पर
मैं तेरी नफरतों का पाला हुआ प्यार भी हूँ
Is se pahle ki saza mujh ko mukarrar ho jaye
un hansi zurmon ki jo sirf mere khwaab mein hain
Is se pahle ki mujhe rok le ye surkh subah
jis ke shaamon ke andhere mere aadaab mein hain
Apni yaadon se kaho chod de tanha mujh ko
main pareshaan bhi hoon aur khud mein gunahgaar bhi hoon
Itna ehsaan to jayaz hai meri jaan mujh par
main teri nafaraton ka pala hua pyar bhi hoon…
— Kumar Vishwas
No comments:
Post a Comment